Wo shehr e Mohabbat jahan Mustafa hain Naat Lyrics in Hindi & English

Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain: Lyrics & Meaning

There are certain poems that do not just praise the Beloved, but also the very ground He walked upon. "Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain" (वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं) is a timeless Kalam that beautifully captures a believer's profound love and yearning for Madinah, the city of the Prophet (ﷺ). It is an ode to the place where peace resides and where every lover's heart desires to be.

Wo shehr e Mohabbat jahan Mustafa hain Naat Lyrics in Hindi & English

Here are the complete lyrics in both Roman English and Hindi, allowing you to connect deeply with the emotions woven into this spiritual masterpiece.

About the Naat

Category Details
Kalam Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain
Original Poet Ahmad Razvi
Language Urdu
Famous Reciters Zohaib Ashrafi and others.
Theme An expression of deep love, reverence, and longing for the city of Madinah, the blessed city of the Prophet (ﷺ).

Wo Shehr-e-Mohabbat Lyrics (Roman English)

Wo shehr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko jee chahta hai
Wo sone se kankar, wo chandi si mitti
Nazar mein basane ko jee chahta hai
Wo shehr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko jee chahta hai

Qadam jis zameen par rakhe hain Nabi ne
Wahan khol rakkhe hain dar raushni ne
Wo galiyan jahan chalte the mere Aaqa
Wahan dil bichhane ko jee chahta hai
Wo shehr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko jee chahta hai

Jo poocha Nabi ne ki kuch ghar bhi choda
Toh Siddique-e-Akbar ke honton pe aaya
Wahan maal-o-daulat ki kya hai haqeeqat
Jahan dil lutane ko jee chahta hai
Wo shehr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko jee chahta hai

Jo dekha hai roo-e-jamaal-e-risalat
Toh bole 'Umar, Mustafa jaan-e-rehmat!
Badi aap se dushmani thi magar ab
Ghulami mein aane ko jee chahta hai
Wo shehr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko jee chahta hai

Jihad-e-mohabbat ki aawaz goonji
Kaha Hanzala ne yeh dulhan se apni
Ijazat agar do toh jaam-e-shahadat
Labon se lagane ko jee chahta hai
Wo shehr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko jee chahta hai

Udhar deed-e-Aaqa mein har-dam tadapte
Idhar har ghadi Maa ki khidmat mein rehte
Owais apni haalat batate bhi kis ko
Madine mein jaane ko jee chahta hai
Wo shehr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko jee chahta hai

Sitam ka sabab koi pooche toh jaa kar
Kahenge Bilal-e-Habas muskura kar
Tadapte sisakte hue un ki khatir
Mera jaan se jaane ko jee chahta hai
Wo shehr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko jee chahta hai

Sitaron se yeh chand kehta hai har-dam
Tumhein kya bataun do tukdon ka 'alam
Ishare mein Aaqa ke itna maza tha
Ki phir toot jaane ko jee chahta hai
Wo shehr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko jee chahta hai

Wo nanha sa Asghar, wo aedi ragad kar
Yahi keh raha hai wo khaime mein ro kar
Ae Baba! Main paani ka pyaasa nahi hoon
Mera sar katane ko jee chahta hai
Wo shehr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko jee chahta hai

Jo bachche gaye Badr mein sab se chhup kar
Jinhon ne udaya Abu-Jahal ka sar
Khuda ki kasam un ko dulha bana kar
Gale se lagane ko jee chahta hai
Wo shehr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko jee chahta hai

Wo Aaqa ki Masjid, wo Aaqa ka Gumbad
Wo Aaqa ki Jaali, wo Aaqa ka Rauza
Tasawwur mein tasveer un ki bana kar
Wahin doob jaane ko jee chahta hai
Wo shehr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko jee chahta hai

'Ajab kaifiyat aane lagti hai dil par
'Ajab bekhudi chhane lagti hai dil par
Madine ki jab chhed de koi baatein
Toh Na'atein sunane ko jee chahta hai
Wo shehr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko jee chahta hai

Deewana yeh mushk-o-hina ka nahi hai
Koi 'itr bhi dil ko bhaata nahi hai
Mehekne ki khatir Nabi ka paseena
Badan pe lagane ko jee chahta hai
Wo shehr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko jee chahta hai

Tujhe dekh kar muskurayegi Jannat
Tere ghar talak chal ke aayegi Jannat
Kabhi dekh toh Maa se keh kar, Meri Maa!
Tera sar dabane ko jee chahta hai
Wo shehr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko jee chahta hai

Jo dekha hai Aaqa ke qadmon ka patthar
Toh kya haal dil ka bataun, Ae Azhar!
Kabhi sar pe rakhne ko dil chahta hai
Kabhi sar jhukane ko jee chahta hai
Wo shehr-e-mohabbat jahan Mustafa hain
Wahin ghar banane ko jee chahta hai

वो शहर-ए-मोहब्बत लिरिक्स (हिन्दी)

वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वहीं घर बनाने को जी चाहता है
वो सोने से कंकर, वो चाँदी सी मिट्टी
नज़र में बसाने को जी चाहता है
वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वहीं घर बनाने को जी चाहता है

क़दम जिस ज़मीं पर रखे हैं नबी ने
वहाँ खोल रक्खे हैं दर रौशनी ने
वो गलियाँ जहाँ चलते थे मेरे आक़ा
वहाँ दिल बिछाने को जी चाहता है
वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वहीं घर बनाने को जी चाहता है

जो पूछा नबी ने कि कुछ घर भी छोड़ा
तो सिद्दीक़-ए-अकबर के होंटों पे आया
वहाँ माल-ओ-दौलत की क्या है हक़ीक़त
जहाँ दिल लुटाने को जी चाहता है
वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वहीं घर बनाने को जी चाहता है

जो देखा है रू-ए-जमाल-ए-रिसालत
तो बोले 'उमर, मुस्तफ़ा जान-ए-रहमत !
बड़ी आप से दुश्मनी थी मगर अब
ग़ुलामी में आने को जी चाहता है
वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वहीं घर बनाने को जी चाहता है

जिहाद-ए-मोहब्बत की आवाज़ गूँजी
कहा हन्ज़ला ने ये दुल्हन से अपनी
इजाज़त अगर दो तो जाम-ए-शहादत
लबों से लगाने को जी चाहता है
वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वहीं घर बनाने को जी चाहता है

उधर दीद-ए-आक़ा में हर-दम तड़पते
इधर हर घड़ी माँ की ख़िदमत में रहते
उवैस अपनी हालत बताते भी किस को
मदीने में जाने को जी चाहता है
वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वहीं घर बनाने को जी चाहता है

सितम का सबब कोई पूछे तो जा कर
कहेंगे बिलाल-ए-हबस मुस्कुरा कर
तड़पते सिसकते हुए उन की ख़ातिर
मेरा जाँ से जाने को जी चाहता है
वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वहीं घर बनाने को जी चाहता है

सितारों से ये चाँद कहता है हर-दम
तुम्हें क्या बताऊँ दो टुकड़ों का 'आलम
इशारे में आक़ा के इतना मज़ा था
कि फिर टूट जाने को जी चाहता है
वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वहीं घर बनाने को जी चाहता है

वो नन्हा सा असग़र, वो एड़ी रगड़ कर
यही कह रहा है वो ख़ैमे में रो कर
ऐ बाबा ! मैं पानी का प्यासा नहीं हूँ
मेरा सर कटाने को जी चाहता है
वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वहीं घर बनाने को जी चाहता है

जो बच्चे गए बद्र में सब से छुप कर
जिन्हों ने उड़ाया अबू-जहल का सर
ख़ुदा की क़सम उन को दूल्हा बना कर
गले से लगाने को जी चाहता है
वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वहीं घर बनाने को जी चाहता है

वो आक़ा की मस्जिद, वो आक़ा का गुंबद
वो आक़ा की जाली, वो आक़ा का रौज़ा
तसव्वुर में तस्वीर उन की बना कर
वहीं डूब जाने को जी चाहता है
वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वहीं घर बनाने को जी चाहता है

'अजब कैफ़ियत आने लगती है दिल पर
'अजब बेख़ुदी छाने लगती है दिल पर
मदीने की जब छेड़ दे कोई बातें
तो ना'तें सुनाने को जी चाहता है
वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वहीं घर बनाने को जी चाहता है

दीवाना ये मुश्क-ओ-हिना का नहीं है
कोई 'इत्र भी दिल को भाता नहीं है
महकने की ख़ातिर नबी का पसीना
बदन पे लगाने को जी चाहता है
वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वहीं घर बनाने को जी चाहता है

तुझे देख कर मुस्कुराएगी जन्नत
तेरे गर तलक चल के आएगी जन्नत
कभी देख तो माँ से कह कर, मेरी माँ !
तेरा सर दबाने को जी चाहता है
वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वहीं घर बनाने को जी चाहता है

जो देखा है आक़ा के क़दमों का पत्थर
तो क्या हाल दिल का बताऊँ, ऐ अज़हर !
कभी सर पे रखने को दिल चाहता है
कभी सर झुकाने को जी चाहता है
वो शहर-ए-मोहब्बत जहाँ मुस्तफ़ा हैं
वहीं घर बनाने को जी चाहता है

Experience the Legendary Recitation

To truly feel the soul of this Kalam, listen to the iconic rendition by the legendary Sabri Brothers. Their powerful voices bring the words to life.


The Meaning of "Wo Shehr-e-Mohabbat"

The title translates to "That City of Love, Where Mustafa (ﷺ) Is." The entire Kalam is a spiritual love letter to Madinah. The poet expresses an overwhelming desire not just to visit, but to live and even pass away in this blessed city. Every line reinforces the idea that Madinah is not just a place on a map, but the destination of the soul—a sanctuary where divine mercy (Rehmat) flows endlessly and where the heart finds ultimate peace and satisfaction (Tassalli).

Read Also: Tu Kuja Man Kuja Naat Lyrics in Hindi & English

Frequently Asked Questions (FAQ)

1. Who wrote the Naat 'Wo Shehr-e-Mohabbat Jahan Mustafa Hain'?

The Kalam 'Wo Shehr-e-Mohabbat' is most famously and widely attributed to Ahmed Razvi. His work reflects deep spiritual love and reverence.

2. Which city is referred to as 'Shehr-e-Mohabbat' in the Naat?

The 'Shehr-e-Mohabbat' or 'City of Love' is a reverent reference to Madinah Al-Munawwarah, the city where the Prophet Muhammad (ﷺ) lived, established his community, and is laid to rest.

3. What is the central theme of this Kalam?

The central theme is an intense expression of love, respect, and yearning ('ishq' and 'shauq') for the holy city of Madinah. It portrays the city as the ultimate destination for a lover of the Prophet, a place where the soul finds peace.

एक टिप्पणी भेजें