Likha Hai Ek Zaifa Naat Lyrics | Urdu, Hindi & English

"Naat-e-Rasool ﷺ ki roohaniyat ko mehsoos karte hue, aaj hum aapke saath 'Likha Hai Ek Zaifa' ki lyrics Urdu, Hindi aur English mein share kar rahe hain. Is naat ki khubsurati ko apne dil se jodiye aur dusron tak bhi pohchaiye."
— Islamicpedia

Likha Hai Ek Zaifa Naat Lyrics in Urdu/Hindi

लिखा है एक जईफ़ा थी के जो मक्का में रहती थी
वो इन बातों को सुनती थी मगर खामोश रहती थी
वो सुनती थी मुहम्मद है कोई हाशिम घराने में
वो कहता है खुदा बस एक है सारे ज़माने में
वो सुनती थी हुबुल की लात की तज़्लील करता है
वो अपने हक के फरमान की यूं तामिल करता है

वो सुनती थी जो उसके साथ है वो है गुलाम उसका
मुसलमान हो ही जाता है जो सुनता है कलाम उसका
लिखा है वो जईफ़ा एक दिन काबा में जा पहुंची
हुबुल के पांव पर सर रख के उसने ये दुआ मांगी
मैं तुझ को पूजती हूं और खुदा भी तुझ को कहती हूं
बड़ा अफ़सोस है जो आज कल मैं रंज सहती हूँ
वो ग़म ये है मुहम्मद है कोई हाशिम घराने में
वो कहता है खुदा बस एक है सारे ज़माने में

मिटा दो उसकी हस्ती को ना ले फिर कोई नाम उसका
जिगर छलनी हुआ जाता है सुन-सुनकर कलाम उसका
दुआ करके उठी सजदे से और वो अपने घर आई
समझती थी ये दिल में अब मेरी उम्मीद भर आई
जईफ़ा को ख़ुशी थी अब हुबुल बिजली गिरा देगा
मुहम्मद तो मुहम्मद साथियों को भी मिटा देगा

मगर कुछ दिन गुज़रने पर ना जब उम्मीद भर आई
दुआ करके हुबुल से अपने दिल में खूब पछतायी
गरज तरकीब उसने सोच लिया ये खुद ही घर आ कर
के छोड़ूंगी ये बस्ती मैं रहूंगी और कहीं जा कर

गरज़ एक दिन सुबह को उसने अपनी एक गठरी ली
निकल कर घर से अपने और दरवाजे पे आ बैठी
जईफ़ा सोचती थी अब कोई मजदूर मिलता है
उसे ये क्या खबर थी एक खुदा का नूर मिलता है

फ़रीज़ा सुबह का करके अदा सरकार दो आलम
चले जाते थे काबा की तरफ वो रहमत-ए-आलम
जालों में आप के शम्स-ओ-क़मर मालूम होते थे
पाये तसलीम सजदे में शजर मालूम होते थे

जईफ़ा मुंतज़िर मज़दूर की बैठी थी घबरायी
यकायक सामने से चाँद सी सूरत नज़र आई
जईफ़ा ने कहा बेटा यहाँ आना बता क्या नाम है तेरा
कहा मजदूर हूं अम्मा बता क्या काम है तेरा?
कहा मजदूर है अगर तू तो चल गठरी मेरी लेकर
मैं खुश कर दूंगी ऐ मजदूर मज़दूरी तेरी देकर
ये सुन कर अपनी गठरी उठा कर अपने सर पर ली
ज़इफ़ो की मदद करना ये आदत थी पयम्बर की

ग़रज़ गठरी को लेकर मंजिल-ए-मकसूद पर आई
कहाँ दिल से के ऐ दिल अब तेरी उम्मीद भर आई
कहा बेटा जो थी दिल में तमन्ना हो गई पूरी
मुहम्मद तो मुहम्मद साथियों से हो गई दूरी

लगी देने जो मज़दूरी जईफ़ा आप को उस दम
तो फ़रमाने लगे उस दम हुज़ूर-ए-सरवर-ए-आलम
ये कोई काम है अम्मा, मैं लू अब जिसकी मज़दूरी
कोई अगर और खिदमत हो तो वो भी मैं करूँ पूरी

ये फरमाते हुए की आपने जाने की तैय्यारी
जईफ़ा से इजाज़त चाहते थे रहमत-ए-बारी
जईफ़ा ने कहा बेटा ज़रा ठहरो चले जाना
मुझसे एक बात कहनी है ज़रा सुन कर चले जाना
यकी जानों कि अब मक्का में झगड़ा होने वाला है
मैं समझती हूं तुझ को इसलिए तू भोला भाला है

वो मक्के में क़बीला हाशमी नाम-ओ-लक़ब वाले
वही बेटा जो हैं सरदार अब्दुल मुत्तलिब वाले

उन्हीं में एक जवान है जो सुना जाता है साहिर है
की इस फन में मगर बेटा वो अपना खूब माहिर है
वो असर होता है जिसका दिल तुख्म-ए-उल्फत बो के रहता है
जो सुनता है कलाम उसका वो उसका होके रहता है

हमेशा बच के चलना उससे बोले कोई नाम उसका
हिदायत है यही मेरी ना सुनना तू कलाम उसका
नबी बुढ़िया के दिल में नूर-ए-वहदत भरने वाले थे
नसीहत सुन रहे थे, जो नसीहत करने वाले थे

जईफ़ा ने कहा, 'बेटा भला क्या नाम है तेरा'
तेरा अग़ाज़ क्या है और क्या अंजाम है तेरा
'कहा हजरत ने बुढ़िया से, 'तुझे क्या नाम बतलाऊं
मैं क्या काम बताऊं, मैं क्या अंजाम बतलाऊं

मैं बंदा हूं खुदा का और मुजस्सम नूर-ए-जाद हूं
कहा गर्दन झुका कर आपने, 'मैं ही मुहम्मद हूं'
मैं हूं मासूम दुनिया में मेरा दुश्मन जमाना है
खुदा वाहिद है आलम में मुझे बस ये बताना है

ये सुनना था कि बस आखों से आंसू हो गए जारी
नबी के इश्क की एक चोट सी दिल पर लगी कारी
जईफ़ा ने कहा बेटा करो मुश्किल मेरी आसां
मैं ऐसी जीत के सदके में ऐसी हार के क़ुर्बान

हुआ फिर हाल पर उसके जो फ़ज़ले ईज़ा-ए-बारी
जईफ़ा के ज़ुबान से ख़ुद बा ख़ुद कलमा हुआ जारी
ला इलाहा इल्लल्लाह मुहम्मदुर रसूलल्लाह
सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ﷺ


Likha Hai Ek Zaifa Thi English Naat lyrics

Wo In Baton Ko Sunti Thi Magar Khamosh Rahti Thi
Wo Sunti Thi Muhammad Hai Koi Hashim Gharane Me
Wo Kahta Hai Khuda Bas Ek Hai Sare Zamane Me
Wo Sunti Thi Hubul Ki Laat Ki Tazleel Karta Hai
Wo Apne Haq Ke Farmane Ki Yun Tameel Karta Hai
Wo Sunti Thi Jo Uske Saath Hai Wo Hai Ghulam Uska
Musalman Ho Hi Jata Hai Jo Sunta Hai Kalaam Uska

Likha Hai Wo Zaifa Ek Din Kaaba Me Jaa Pahunchi
Hubul Ke Paaon Par Sar Rakh Ke Usne Ye Dua Mangi
Main Tujh Ko Poojti Hun Aur Khuda Bhi Tujh Ko Kahti Hun
Bara Afsos Hai Jo Aaj Kal Main Ranj Sahti Hun
Wo Gham Ye Hai Muhammad Hai Koi Hashim Gharane Me
Wo Kahta Hai Khuda Bas Ek Hai Saare Zamane Me
Mita Do Uski Hasti Ko Na Le Phir Koi Naam Uska
Jigar Chhalni Hua Jata Hai Sun Sun Kar Kalam Uska

Dua Karke Uthi Sajde Se Aur Wo Apne Ghar Ayi
Samajhti Thi Ye Dil Me Ab Meri Ummeed Bhar Ayi
Zaifa Ko Khushi Thi Ab Hubul Bijli Gira Dega
Muhammad To Muhammad Saathiyon Ko Bhi Mita Dega
Magar Kuchh Din Guzarne Per Na Jab Ummeed Bhar Ayi
Dua Karke Hubul Se Apne Dil Me Khoob Pachhtayi
Garaz Tarqeeb Usne Soch Lee Ye Khud Hi Ghar Aa Kar
Ke Chhorungi Ye Basti Mai Rahungi Aur Kahin Ja Kar

Garaz Ek Din Subah Ko Usne Apni Ek Gathri Lee
Nikal Kar Ghar Se Apne Aur Darwaze Pe Aa Baithi
Zaifa Sochti Thi Ab Koi Mazdoor Milta Hai
Use Yeh Kya Khaber Thi Ek Khuda Ka Noor Milta Hai
Fareeza Subah Ka Karke Ada Sarkar Do Aalam
Chale Jaate The Kaaba Ki Taraf Wo Rahmat-E-Alam
Jalon Me Aap Ke Shams-O-Qamar Maloom Hote The
Paye Tasleem Sajde Me Shajar Maloom Hote The

Zaifa Muntazir Mazdoor Ki Baithi Thi Ghabrayi
Yakayak Samne Se Chaand Si Surat Nazar Ayi
Zaifa Ne Kaha Beta Yahan Aana Bata Kya Naam Hai Tera
Kaha Mazdoor Hoon Amma Bata Kya Kaam Hai Tera
Kaha Mazdoor Hai Agar Tu To Chal Gathri Meri Lekar
Main Khush Kar Dungi Aye Mazdoor Mazdoori Teri Dekar
Ye Sun Kar Aapne Gathri Utha Kar Apne Sar Par Li
Zaifon Ki Madad Karna Ye Aadat Thi Payamber Ki

Garaz Gathri Ko Lekar Manzil-E-Maqsood Par Ayi
Kaha Dil Se Ke Aye Dil Ab Teri Ummed Bhar Aayi
Kaha Beta Jo Thi Dil Me Tamanna Ho Gayi Puri
Muhammad To Muhammad Sathiyon Se Ho Gayi Doori

Lagi Dene Jo Mazdoori Zaifa Aap Ko Us Dam
To Farmane Lage Us Dam Huzur-E-Sarwar-E-Aalam
Ye Koi Kaam Hai Amma Mai Lun Ab Jiski Mazdoori
Koi Agar Our Khidmat Ho To Wo Bhi Main Karun Poori

Ye Farmate Huye Ki Aapne Jane Ke Tayyari
Zaifa Se Ijazat Chahate Then Rahmat-E-Baari
Zaifa Ne Kaha Beta Zara Thahro Chale Jaana
Mujhe Ek Baat Kahni Hai Zara Sun Kar Chale Jaana

Yaqeen Jaano Ki Ab Makkah Me Jhagra Hone Wala Hai
Main Samjhati Hun Tujh Ko Isliye Tu Bhola Bhala Hai
Wo Makke Me Qabeela Hashmi Naam-O-Laqab Wale
Wohi Beta Jo Hain Sardar Abdul Muttalib Wale
Unhi Me Ek Jawan Hai Jo Suna Jaata Hai Saahir Hai
Ke Is Fan Me Magar Beta Wo Apne Khoob Mahir Hai
Wo Asar Hota Hai Jiske Dil Tukhm-E-Ulfat Bo Ke Rahta Hai
Jo Sunta Hai Kalam Uska Wo Uska Hoke Rahta Hai

Hamesha Bach Ke Chalna Usse Bole Koi Naam Uska
Naseehat Hai Yehi Meri Na Sunna Tu Kalam Uska
Nabi Budhiya Ke Dil Me Noor-E-Wahdat Bharne Wale Then
Naseehat Sun Rahe Then Jo Naseehat Karne Wale Then

Zaifa Ne Kaha, ‘Beta Bhala Kya Naam Hai Tera’
Tera Aaghaz Kya Hai Aur Kya Anjaam Hai Tera
Kaha Hazrat Ne Budhiya Se, ‘Tujhe Kya Naam Batlaun’
Main Kya Kaam Batlaun, Main Kya Anjaam Batlaaun
Main Banda Hun Khuda Ka Aur Mujassam Noor-E-Zad Hoon
Kaha Gardan Jhuka Kar Aapne, ‘Mai Hi Muhammed Hun’
Main Hoon Maasoom Duniya Me Mera Dushman Zamana Hai
Khuda Waahid Hai Aalam Me Mujhe Bas Ye Batana Hai

Ye Sunna Tha Ke Bas Aakhon Se Aansu Ho Gaye Jaari
Nabi Ke Ishq Ki Ek Chot Si Dil Per Lagi Kaari
Zaifa Ne Kaha Beta Karo Mushkil Meri Aasan
Mai Aisi Jeet Ke Sadqe Me Aisi Haar Ke Qurban

Hua Phir Haal Par Uske Jo Fazle Eezan-E-Baari
Zaifa Ke Zubaan Se Khud Ba Khud Kalma Hua Jari
La ilaha illallah Muhammadur Rasulullah
Sallallahu Alaihi Wasallam ﷺ

Likha Hai Ek Zaifa Thi Naat Tafseer

Is naat mein ek buzurg aurat ka waqia hai jo apne dil ki haalat Rasool Allah ﷺ ke samne bayan karti hai. Naat sunnay se na sirf imaan taza hota hai, balke dil bhi roshan hota hai.

“नात सुनना दिल को तसल्ली और रूह को सुकून देता है।”
इस्लामिक पीडिया

🎧 Download Likha Hai Ek Zaifa Naat MP3

इस नात को आप नीचे दिए गए लिंक पर क्लिक करके सुन सकते हैं:

❓ FAQs About Likha Hai Ek Zaifa Naat

Q1: Likha Hai Ek Zaifa naat kisne likhi?

Yeh mashhoor Islamic kalam Shahana Shaikh ke jariye Rasool Allah ﷺ ki shaan mein likha gaya hai.

Q2: Kya is naat ka audio available hai?

Ji haan, upar diye gaye Listen Now button par click karke aap ise sun sakte hain.

Q3: Likha Hai Ek Zaifa naat ka matlab kya hai?

Ek buzurg aurat ke jazbaat aur uske dil ki halat, jo Rasool ﷺ ki baat sun kar badal jaati hai, is naat mein bayan ki gayi hai.

🔸 Aakhiri Baat 🔸

SubhanAllah! Yeh kahani sirf ek budhiya aur Nabi ﷺ ke darmiyan ka waqia nahi, balki yeh hidayat ka roshan chiragh hai un sab ke liye jo haq ki talash mein hain.
Rasoolullah ﷺ ka akhlaaq, unki rehmat aur unki guftagu ne dilon ko jeet liya — sirf uss zamane mein nahi, balki har daur mein.
Har woh shakhs jo sachai ke raaste ka musafir hai, uske liye Muhammad ﷺ ki zindagi roshni ka manba hai.
Allah humein bhi aisi soch, aisi narmi, aur aisi dawat-e-haq ki taufeeq ata farmaaye.
اللهم صل وسلم على نبينا محمد وعلى آله وصحبه أجمعين

Post a Comment